Thursday, 27 July 2017

Woh Pal

Ha Woh Pal tha,
Jo hawa ke joke ki tarah aya,
Saare Rishto ko hilake gaya tha..

Ha Woh Pal tha,
Jisme Maine tere Dil ko dukhaya,
Jisme Maine apne Gusse ki hadd ko paar kiya...
Bewajay tujpe Inzaam lagaya ke tu hai Galat,
Jabki Hosh me to mai hi na tha..


                                                      


Ha Woh kamjor Pal tha,
Ha Woh bura Pal tha,
Jab Maine tere Dil ko Dukhaya...

Na woh Pal ko Lauta sakta hu,
Na woh Pal ko Badal sakta hu,
Uss Gusse ka paschataap to Bahut hai,
Par Na tuje Mai apni zindagi se jane de sakta hu
Kyuki Tu woh Anmol Ratan hai Meri life ka,
Jisko mai khone nahi de sakta hu..

Maffi Maangke Woh Pal ka Dard to Mitaa nahi sakta,
But kuch aisa karna Chahta hu, k woh Pal ka dard kam ho jaye..

Ae Meri Dost,
Maff Kar,
Na Meri Saazish thi,
Na Mera Irada tha..

Woh Pal aaya aur gaya,
Par Tu Aayi, aur Tuje Jane Na Mai dunga!!





No comments:

Post a Comment

The Stranger at Midnight

It was a cold, quiet night in the small village of Himatpur. The moonlight bathed the dusty lanes, and most homes were dark, their residents...